Shayris

pyar pe bas to nahi hai mera lekin fir bhi tu mujhe bata de ki tujhe pyar karu ki na tune khud apni adao se jagaya hai jinhe un tamanao ka ijhar karu ki na

jo rista kayam hai wo hum nibhayenge nigaho se dur rahkar bhi aapko chahenge pata nahi aapne kiske saath ghar basaaya par hum aapka naam lete lete mar jaayenge

Deewana hoon tera...Inkar nahin Kaise keh du ki pyaar nahin...Kuch shararat to teri najaron ki bhi thi mein akela hi gunhegar nahin

Khayalon mai bus tum hi tum ho, bana diwana Kwahishein tadpati hai bus ek bar mil jana. Bahut hai mushkilen hos-o-hawash rakhta hun Ab tumhi batao chalega kab tak yeh tadpana.

Zindagi se bas yehi gila hain, Khushi ke baadh, kyu gham mila hain, Humne to unse wafaa hi ki thi.. Par nahi jaante the ki wafa kaa bewafaai hi silaa hai

Unhe chahana meri kamzori hai unse kehnahi pana meri majburihai woh kyun nahi samajte meri khamoshi kokya pyr ka izharkarna zarurihai

Galti se pyar kar baithe ham nadan the uski aadat uski fitrat se anjan the waqt ne hmko khilona bna diya wrna ham bi kabi mehfilo ki jaan te

Kash banane wale ne hume aasu banaya hota or unki ankho me basaya hota, jab girte unki ankho se unki god me,to marne ka maja kuch or he hota

Kisina kisipe kisiko aitbar ho jata he, ajnabi koi shaks yar ho jata he, khubiyo se nhi hoti mohabat sada,kamiyo se bi aksar pyar ho jata he

Mere ishq me dard nahi tha par dil mera bedard nahi tha Hoti thi meri aankhon se neer ki barsat par unke liye ansu or pani me fark nahi tha

Pee k raat ko usko ham bhulane lage Sharab me gum ko gholkar khane lage Yeh daru bhi kambakht bewfa nikli Nashe me vo aur yaad ane lage

Dard se dosti ho gayi yaaron, Zindagi bedard ho gayi yaaron. Kya hua jo jal gaya aashiyana hamara, Door tak roshni to ho gayi yaaron

Hasi ke palko ko phir aabad kar rahi thi,chand se tumhari bat kar rahi thi.Dilko bada sukun mila jankar ki tum bhi hame yad kar rahe the

Zarasi bat dertak rulati rahi,Khusi mebhi aankhe aansu bahati rahi,Koi mil k kho gaya to koi kho k mil gaya,Zindagi hmko bas aazmati rahi

Adat hai teri yad ane ki. En akhoko teri ek zalak pane ki. Hamari to tamanna hai apko pane ki par shayad apki adat hai hame tadpane ki..

Comments